Tuesday 12 June 2012

Jaane kya mujhse zamana chahta hai ,
Mera dil todkar mujhe hi hansana chahta hai ,,
Jaane kya baat jhalakti hai mere chahre se ,
Har shaks mujhe aajmana chahta hai …
Sona chahta hun per neend nahi aati hai,
Badal badal ke karwate yunhi raat guzar jati hai,
Kar bhi pyaar ka izhar ya jaane jigar,
Akhir kyon tu mujhe itna tadpati hai…

Dil main har raaaz dabaa key rakhtay hein
Honton pay Muskaan sajaa key rakhtay hein..
ye duneeya sirff Khushee mein saath daytee hai..
iss liye hum apnay aansoo chupaaa kay rakhtey hein…
Chaha ke ye Aasma humara hota,
khwaisho ka koi kinara hota,
ye soch kar na roka us musafir ko humne,
dur jata hi kyu agar wo hamara hota…

Dard Kitne Hain Bata Nahi Sakta
Zakhm Kitne Hain Dikha Nhai Sakta
Ankhon Se Samjh Sako To Samjh Lo
Ansoon Gire Hain Kitne Gina Nahi Sakta …

No comments:

Post a Comment